2" Mortar

2 inch Mortar OML ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein saral shabdo me2″ Mortar OML2″ Mortar OML ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein saral shabdo me

Pichhle blog post me hmne roman language me 5.45mm INSAS Rifle is liked by Indian armed forces! WHY? Basic information about insas riflebare me jankari prapt ki aur   ab is blog post me hm roman language me 2″ Mortar OML ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein saral shabdo me use ek dam asan shabdo me jane. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya Agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak

Uddesya (Aim):

2″ mortar OML ka parichya, utpatti aur vishestaon ke bare mein jankari dena hai

2 inch Mortar OML ka Parichya (Introduction)

Paidal sena ke hathiyaron mein 2″ Mortar ek mahatwapurd hathiyar hai aur platoon mein topkhane ka kaam karta hai. Yeh muzzle se load kiya jata hai aur ismein koi bhi grooves nahi hota hai ismein panch kism ke bomb fire kiye jate hain.

2″ Mortar OML ka Utpatti (Orientation)

Mortar ka prayog Mohammad dwitya ke samay mein 1551 mein kiya gaya tha. British Army ne dwitya mahayudh mein 2″ Mortar ka prayog kiya gaya. Bharat mein son 1939 mein sarvpratham prayog kiya gaya.

2″ Mortar OML ka Basic data

2″ Mortar OML ka Visheshtaen (Characterstics)

(a) Saralta (Simplicity)

(i)Yeh bahut hi chota hathiyar hai, jise kholna, jodna le som sjana aur fire karna aasan hai. 

(ii) Iski chal (Mechanism) aasan hai aur sikhlai evam fire  karna saral hai.

(iii) Camouflage aur concealment aasan hai. 

(b) Unchi udan ka fire (High Trajectory Fire)

(i) Yeh pahadon ke piche unchi aad wa darakt aadi ke piche se bahut hi kargar fire kar sakta hai. 

ii) Tooti futi zamin (Dead Ground) mein bhi bahut kargar hai.

(c) Mobility

Halka wazan hone ki wajah se kahin bhi aasani se le jaya ja sakta hai aur alternative) position mein badli karna aasan hai.

(d) Lachilapan (Flexibility)

Saral banawat hone ki wajah se targeton ki badli karna saral hai aur kisi bhi disa mein (360°) bahut kam samay mein fire dala ja sakta hai

(e) Fire chamta (Fire Power)

Saral banawat aur muzzle loding ki wajah se rate of fire adhik hai. 

2″ Mortar OML ka Kamiyan (Limitation)

(a) Durusti (Accuracy) kam hai jisse ziada bomb prayog karna padta hai. 

(b) Range kam hai. 

(c) Dal-dal wale ilake mein fire nahi kar sakte hain. 

(d) Area weapon hone ki wajah se nukta fire nahi kiya ja sakta hai. 

2″ Mortar OML ka Utpatti Tactical Employment

2″ Mortar ko platoon ka topkhana mana gaya hai, Atah ladai ke dauran (Advance, Attak, Defence) mein iiska fire bahut hi kargar sabit hota hai. Advance ke dauran choti- choti rukawaton ko dur karne ke liye 2″ Mortar ka fire liya ja sakta hai, Defence mein DF Task bant kar fire dalvaya ja sakta

Iske sath hi 2″ Mortar OML ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein saral shabdo me se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping