close up photography of a man holding rifle

.303 LMG ka Parichaya, Utapatti aur Visheshtayein behad hi nai tarike se jane

Pichhle blog post me hmne roman language me asan shabdo me jane 7.62mm rifle ko zering karna bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me .303 LMG ka Parichaya, Utapatti aur Visheshtayein behad hi nai tarike se jane ke barre me janege. yh post constable aur new agniveer recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai

Uddesya (Aim)

.303″ LMG se parichya aur uski utpatti wa vishestaen batana hai.

.303 LMG ka Parichya (Introduction)

.303″ LMG police ka sabse kargar hathiyar hai, ise kande, kulhe aur ran par rakhkar fire kiya ja sakta hai. yeh crew weapon hai. Gun hawa se thndi hoti hai aur ziada fire se garam hone par spare barrel lagai jati hai. Gun halki hone ke karan forward line mein bipod ki madad se istemal ki jati hai. Jarurat padne par hawai hamle ke waqt isse kaam liya ja sakta hai. Change lever hone ki wajah se single shot aur automatic fire kar sakte hain. Ek achha firer 150 round tak 1 minute mein thick nisana lekar fire kar sakta hai. yeh aasani se panch bade hisson mein khul jati hai

.303 LMG ka Utpatti (Orientation)

Yeh gun sabse pahle dwitiya vishve yudh ke dauran 1940 mein aai. Breno company ne is gun ko banaya tha. Baad mein Breno company ne Britain ke hath bech diya. Us waqt uska bore 7.92mm tha. Britain mein ise Enfield company ne banaya aur 7.92mm ke bajay .303″ bore kar By diya Breno aur Enfield company ke naam ko kayam rakhne ke liye unke dono pahle shabd BR aur EN lekar iska naam BREN rakha. Ise Britain ne Canada aur India mein bhi banaya. Sath hi body par pahchan ke liye likha gaya “C” yani Canada, “E” yani Enfield company aur “D” yani Dakshin Hydrabad (Deccan) Bharat. .303″ LMG ka basic data ya .303″ LMG ka general data

.303 LMG ka Vishestarn (Characterstics)

(a) Halka hathiyar hai, isse single shot aur automatic fire kiya ja sakta hai. 

(b) Crew weapoon hai jiske sath do jawan kaam karte hain. (c) Fire bahut asardar hai. 

(d) Choti aad ke piche chupai ja sakti hai. 

(e) Isse fixed line wa di hui hadon mein fire kar sakte hain. 

(f) Section ke madad ke hathiyar ke taur par istemal karte hain.

(g) Purje tutne ke bad badli kiye ja sakte hain kyonki spare purje iske sath hote hain. 

(h) Flat trajectory hathiyar hai. 

(i) Yeh hathiyar hawa se thanda hota hai.

.303 LMG ka Kamian (Limitations)

(a) Paidal le jane mein jawan thak jata hai. 

(b) Automatic hone ke karan ismein adhick roken padti hain.

(c) Automatic hone ki wajah se ammunition ziada kharch hota hai

(d) Fire ke dauran shole ki wajah se position jahir ho jati hai.

.303 LMG ka Tactical Employmennt : 

(a) Dushman ke bhari jamao hone par kafi matra mein fire dala ja sakta hai. 

(b) Hamle mein support fire ke liye prayog karte hai. 

(c) Defence mein fix line par lagane par kafi labhdayak hai. 

(d) Paidal sena dwara ambush ke liye bahut hi kargar hathiyar hai. 

(e) Anti Air Craft (AA) role mein lagakar hawai jahaj ke khilaf prayog kiya jata hai. 

(f) Halme ke aakhiri charan mein assult position se kulhe se lagakar fire kar sakte hain. 

Iske sath his .303 LMG ka Parichaya, Utapatti aur Visheshtayein sambandhit blog post samapt hui ummid hai ki post aapko pasand aayegi

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping