Pichhle blog post me hmne roman language me 9MM CARBINE MACHINE 1A KO ZERO KARNA KYA HOTA HAI AUR USKO CALCULATION KARNE KA TARIKA bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me Pistol Browing 9mm HP ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein. yh post constable aur new agniveer(Agni Veer) recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak
Pistol Browing 9mm HP ka Uddesya (Aim)
Pistol Browing FN 9mm HP se parichya aur uski utpatti wa vishestaon ke bare mein jankari dena hai.
Pistol Browing 9mm HP kaParichya (Introduction)
Pistol Browing 9mm HP ka vyaktigat hathiyar hai. Nazdiki ki ladai ke liye chote hathiyaron mein yeh sabse achha hathiyar hai, Is hathiyar se shigrh charo taraf ke targeton ko saralta se barbad kiya ja sakta hai. Yeh ardh swachalit (Semi Automatic) hathiyar hai wa short recoil operation sidhant par kaam karta hai.
Pistol Browing 9mm HP ka Utpatti (Orientation)
Is pistol ke aviskarak John M Browing they. Jinhone iska swarup sun 1925 mein taiyar kiya tha. Sun 1935 mein iske do swarup (Model) taiyar kiye gaye :-
(a) Sadharad Swarup (Ordinary Mode)
(b) Adjustable rear sight model
High Power, Belgium mein febrique National company ne europie deshon ko bechne ke liye banai. Yeh pistol alag-alag deshon mein alag-alag namon se jani jati hai. Hamare desh mein iska naam Pistol Browing FN 9mm HP hai.
Pistol Browing 9mm HP ka Basic Data of 9mm Browning Pistol
Aam jankari (General Data)
Pistol Browing 9mm HP kaVishestaen (Characteristics):
(a) Halka wa chota hathiyar hone ki wajah se le jana wa chupana nigmataasan hai.
(b) Fire ki raftar tej hone ke karan muthbhed ki ladai mein labhdayak hai.
(c) Chota hathiyar hone ke karan achanak niklne wale wa harkati targeton ko teji se barbad kiya ja sakta hai.
(d) Magazine ki goliyon ki tadȧd ziada hone ke karan fiada der tak kar sakta hai.
(e) Ek hath se bina rest (Without Rest) fire karna kathin hai.
Pistol Browing 9mm HP ka Kamiyan (Limitation)
(a) KArgar range bahut kam hai.
(b) Semi Automatic hone ki wajah se roken adhik padti hain.
(c) Dur range par sahi nisana lekar fire karna kathin hai.