Pichhle blog post me hmne roman language me 7.62 MM GHATAK RIFLE MAIN FEATURE IN SIMPLE WORDS bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me 51mm Mortar E-1 ka ki kuchh aham data jo aap abhi tak sayad nahi jante honge. yh post constable aur new agniveer(Agni Veer) recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak
51mm Mortar E-1 Uddesya (Aim)
51mm mortar E-1 se parichya aur uski utpatti wa vishestaon ke bare mein jankari dena hai.
51mm Mortar E-1Parichya (Introduction):
Paidal sena ke hathiyaron mein 51mm Mortar E-1 OML 2″ Mortar se kahin adhik mahatwapurd hathiyar hai, kyonki is Mortar ke sath sight lagakar bombo ko 850m ki duri tak tatha raat ke samay mein bhi aasani se fire kiya ja sakta hai. Yeh Mortar platoon mein 2″ Mortar ki tarah hi topkhane ka karya karta hai. Yeh muzzle se load kiya jane wala hathiyar hai, tatha ismein grooves nahin hote hai. (Smooth Bore Weapon), Is Mortar se char tarah HE, Smoke, Illuminating tatha Practice Bomb fire kiye jate hai.
51mm Mortar E-1 Utpatti (Orientation)
Is Mortar ko British ki Royal Armament Reserch and Development Establishment (RARDE) ne OML 2″ BUS Mortar ke sthan par son 1981 mein banaya gaya. Iske baad yeh
Mortar Bharat ke Kanpur sahar mein small arms factory dwara banai jane lagi tatha 1983 mein bhartiya sastra senao ko pradan kar di gayi.
51mm Mortar E-1 Aam Jankari (General Data)
51mm Mortar E-1 ka Vishestaen (Characteristics)
(a) Saralta (Simplicity):
(i) Yeh chota hathiyar hai, jise kholna, jodna, le jana tatha fire karna aasan hai.
(ii) Iska chal (Mechanism) aasan hone ki wajah se sikhlai dena aasan hai.
(iii) Camouflage evam consilment aasan hai.
(iv) Iske sath sight lagi hone ke karan din tatha raat mein bhi accurate tatha sahi nischit doori tak fire kiya ja sakta hai.
(V) Iski barrel ko nickle cromium, High strength alloy steel ko machining karke banaya gaya hai.
(vi) Bombo ko load karne mein aasani ke liye tatha barrel ke muzzle end ko majbooti pradan karne ke liye “Bell Mouth” Type banaya gaya hai.
(b) Unchi udan ka fire (High Trajectory Fire)
(i) Yeh Mortar ke piche unchi aad wa darkhat ke piche se bhi bahut hi kargar (effective) fire kar sakta hai.
(ii) Tooti-footi zamin mein bhi bahut kargar hai.
(c) Mobility:
Wazan mein halka hone ke karan kahi bhi aasani se le jaya (carry) ja sakta hai evam alternative position mein badli kama aasan hai.
(d) Lachilapan (Flexibility)
(i) Saral banawat hone ki wajah se targeton ki badli karna aasan hai, aur kisi bhi disa mein (360° mein) bahut hi kam samay mein fire kiya ja sakta hai.
(ii) Is Mortar ke sath sight uplabdh hone ke karan raat ya din kisi bhi samay accurate fire kiya ja sakta hai.
(iii) Bombo ko man chahe ya aavashyktanusar duri par giraya ja sakta hai.
(iv) sight ko firing ke dauran utarne ki koi aavashykta nahi hai.
(e) Fire Kshamata (Fire Power)
Saral banawat tatha muzzle loding hone ki wajah se rate of fire bahut hi adhik ha
OML 2″ Mortar tatha 51mm Mortar mein antar
51mm Mortar E-1 ka Sight karne ka tarika
Sight 51mm Mortar sahi range lagane ka madhyam hai jiski madad se barrel ko durust kon (Angle) dekar du hui range par fire gijate hai. Sight ko clamp assembly ki madad se Mortar par chadate hain tatha housing assembly ko range set karne ke liye istemal karte hai. Range scale par bayen tatha dahini taraf tram kramash charge 1 tatha 2 ki meter mein range di gayi hai. Sight ke range scale tatha bubble ko raat ke samay chamkane (Dikhane) ke liye (Tritium Gas) bhari gai hai. dhyan rahe ki sight ke sath najayaj chedchad na ki jaye
51mm Mortar E-1 Tactical Employment
51mm Mortar E-1 ko platoon ka topkhana mana gaya hai atah ladai ke dauran (Advance, Attack, Defence) mein iska fire bahut hi kargar sdh hota hai. Advance ke dauran choti-moti rukawaton ko dur karne ke liye 51mm Mortar E-1 ka fire liya ja sakta hai. Defence mein DF (Deffensive Fire) Task bantkar fire dalvaya ja sakta hai tatha sath hi hamle mein hamlawar troops ko covering fire diya ja sakta hai.
Iske sath hi 51mm Mortar E-1 ka ki kuchh aham data jo aap abhi tak sayad nahi jante honge se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare