FIRE DIRECTION ORDER

7.62mm LMG ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein

Pichhle blog post me hmne roman language me 303 lmg-ka-parichaya-utapatti-aur-visheshtayein-behad-hi-nai-tarike-se-jane ke bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me 7.62mm LMG ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein ke barre me janege. yh post constable aur new agniveer recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai

Uddesya (Aim)

7.62mm Light Machhine Gun se parichya uski utpatti aur vishestaen batana hai.

7.62mm LMG ka Parichya (Introduction)

7.62mm LMG armed force police ki battalion ka ek achha swachalit kargar hathiyar hai, jise kande, kulhe aur ran par rakhkar fire kiya ja sakta hai. Yeh crew weapon hai tatha gas ke dhakke se chalti hai aur hawa se thandi hoti hai. Ziada fire se barrel garam hone par atirikt (Spare) barrel lagai jati hai. Gun halki hone ke karan aakramad (Assult) mein istemal ki jati hai. bipod laga hone se iska fire ziada kargar hota hai. Jarurat padne par hawai hamle ke waqt isse anti air craft role mein kaam liya ja sakta hai. Change lever hone ke ek-ek goli (Single Shot) tatha swachalit (Automatic) fire dono kar sakte hain. Ek achha firer isse 1 minute mein thick nisana lekar 150 goli (150 Rounds) tak fire kar sakta hai. Yeh aasani se panch bade hisse mein khul sakti hai. 

7.62mm LMG ka Utpatti (Orientation)

Jab Britain ne apni sena mein 7.62mm ammunition ko apnane ka nirday liya to .303″ Bren gun ko 7.62mm mein parivartit karne ke liye alag-alag model nikale gaye. Is parivartit 7.62mm LMG ko L4 Bren Series se jana jata hai. Ismen L4L1 se L4L7 model bane. Is model ka nikale gaye. Is parivartit 7.62mm LMG Britain mein koi utpadan nahin kiya gaya lekin is model ki drawing Bhartiya fouz ke liye banai gai. Jiske dwara bharat ne 7.62mm LMG ko banaya. 

7.62 mm LMG ka basic Data

7.62mm LMG ka Vishestayein (Characterstics)

(a) Halka hathiyar hai, isse single shot aur automatic fire kiya ja sakta hai. 

(b) Crew Weapon hai, jiske sath do jawan kam karte hain. Yeh section ka pramukh hathiyar hai. 

(c) Fire bahut asardar hai. 

(d) Choti aad ke piche chupai ja sakti hai. 

(e) Isse fixed line se fire kar sakte hain. 

(1) Purje tutne ke bad badli kiye ja sakte hain, kyonki spare purje iske sath hote hain. 

(g) Yeh hathiyar hawa se thanda hota hai. 

7.62mm LMG ka Kammiya (Limitation)

(a) Paidal lay jane mein jawan thak jata hai. 

(b) Ek hi barrel se ziada fire karne se barrel ko nuksan ho sakta hai. 

(c) Automatic hone ke karan ismein adhick roken padti hain, jisko dur karne ke liye achhi training ki jarurat hai. 

(d) Automatic fire ke liye ziada ammunition ki jarurat hai. 

(e) Fire karne par position jahir ho jati hai. 

Iske sath hi 7.62mm LMG ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping