Pichhle blog post me hmne roman language me 9MM MACHINE CARBINE 1A PARICHYA, UTPATTI AUR VISHESTAYEIN AISE SAMJHE SARAL SHABDO ME bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me 9mm CARBINE MACHINE 1A ko zero karna kya hota hai aur usko calculation karne ka tarika. yh post constable aur new agniveer(Agni Veer) recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak
Uddesya (Aim):
Carbine Machine 9mm 1A ko zero karne ke bare me jankari karna
9mm CARBINE MACHINE 1A ko zero karna kya hota Tatha Parichya (Introduction)
Ladai mein hathiyar hi sainik ka sabse bada dost mana jata hai. Ek jawan jati hathiyar ke apne jindgi ka abhinna ang manta hai, bsharte ki hathiyar use samay par dhokha na de. Yudh mein jane se pahle sainik apne hathiyar ke sath talmel baithata hai taki uska fire manchahi jagah par ho. Yeh sidhant baki hathiyaro ki tarah carbine machine ke liye bhi lagu hai.
9mm CARBINE MACHINE 1A ko zero karna kya hota 9mm CARBINE MACHINE 1A Zeroing
Carbine ka zeroing keval foresight ko hi hila kar kiya jata hai. (By moving the foresight only) isko foresight ko is prakar banaya gaya hai ki yeh upar niche wa dahine bayen harkat kar sakta hai. Yadi carbine chune hue jagah par fire na kare to foresight ko upar niche wa dahine bayen harkat dekar goliyon ko chuni hui jagah par lane ki kriya ko zeroing kahte hain.
9mm CARBINE MACHINE 1A Zeroing ke fayde (Advantage of zeroing)
Machine Carbine ko zero karke hi fire karna chahiye iske nimn fayde hain :-
(a) Firer ko apne hathiyar par bharosa hota hai (Confidences)
(b) Ek goli ek dushman ka mudda hasil ho sakta hai (Aim of one round one man is achived)
(c) Ammunition ki bachat hoti hai.
(d) Classification fire ka achha natija milta hai.
(e) Kisi bhi prakar ki pratiyogita (Competition) mein behtar natija milata hai.
9mm CARBINE MACHINE 1A Zeroing ke mouke (Occasions)
Jab kabhi bhi carbine ma chine ki durusti par shak ho jaye to ise zero kar lena chahiye. Iske alawa kuch mouke aise hai jab carbine ko zero karke hi istemal karna chahiye.
(a) Jab Carbine Ordinance se nai mili ho.
(b) Ek jawan se dusre jawan ko di gai ho. (Change over from on jawan to another)
(c) Range classification se pahle (Before classification fire)
(d) Ladai mein jane se pahle (Before going in an operation)
(e) Kisi bhi prakar ki marammat ke baad (After any repair)
(f) High altitude mein jane ke baad ya utarne ke baad (After going to any coming fron high altitude)
9mm CARBINE MACHINE 1A Zeroing se pahle dhyan mein rakhne wali baten (Points to remember before zeroing)
carbine ko zeroing karne se pahle kuch baton ko dhyan mein rakhna chahiye jo is prakar hai :-
(a) Talmel (Tuning up) : Kote mein kafi der tak rakhi rahne ke karan wa roj ke istemal se carbine ka talmel bigad jata hai atah zeroing se pahle armourer dwara carbine ka talmel thick karwa lena chahiye.
(b) Mousam (Weather): Kharab mousam ka zeroing par bahut asar padta hai, jaise tej doop, varsha, kam roshni aadi. Atah zeroing ke samay mousam saaf wa roshni thick ho. (Weather should be clear and light should be sufficient)
(c) Ammunition: Ammunition ek hi lot ka prayog mein laya jaye tatha fire karne se pahle use saaf karna chahiye. (Ammunition should be of one lot and cleaned before firing)
(d) Target: Iske liye target 30cm x 30cm universal hota hai. (The target 30cm X 30Cm is Universal). Lekin CQB target 1″ X 1″ ka aiming mark lagakar istemal kiya ja sakta hai (But CQB target with 1″ X 1″ Aiming mark can be used)
9mm CM 1A Zeroing karte waqt dhyan mein rakhne wali baten (Points to remember during zeroing)
Machine Carbine ko zero karne se pahle kuch baton par vishes gour karna chahiye varna zeroing par kharch hone wala samay aur ammunation vyarth ho javega.
(a) Firer: Carbine zero ek achhe firer dwara karai jaye jiska stur 100′ se rest position ke sath fire karne ke baad group (10cm) vrat mein ho (The fire should be able to fire 10cm group from 100′ with rest)
(b) Duri (Distance): Carbine ko 100′ se zero kiya jaye. (Car bine should be zeroing from 100‘)
(c) Safai (Cleaning): Carbine ko zero karne se pahle barrel ko khusk kar liya jaye tatha breech block ki ribs par halka tail laga diya jaye. (The barrel should be dried and sight oil should be applied on breech block and ribs.
(d) Functioning Test: Zero karne se pahle purjo ki janch ke liye functioning test kar liya jaye. Iske liye panch goilayan single shot fire kiye jayen tatha 10 golion ka magazine lambe brust se fire kiya jaye. Dono hi halat mein carbine ruke fire kare.
(e) Barrel garam karna : Functionning test pahle se hi rakha hai to grouping fire se pahle barrel garam karne ke liye 2 goliyan fire ki jaye.
9mm CM 1A Zeroing ke liye tool (Tools for zeroing):
Carbine machine ko nimnlikhit auzar ki madad se zero kiya jata hai (Following tools are used in zeroing the carbine)
(a) Screw Driver
(b) Pliers
(c) Scraber
(d) Drift
(e) Hammer
9mm CM 1A Zeroing ke baad ki karwai (Action after zeroing)
Zeroing ke baad ek check group fire kiya jai. (Fire check group after zeroing)
9mm CM 1A Zeroing ka tarika Upar niche ki galti ko dur karna
(a) Carbine mein hum upar niche ki kul 8″ tak galti dur kar sakte hain, tip ko ek chakkar upar ya niche karne par target par 1″ ka farq padta hai.
(b) Agar goli shist ki jagah se 1″ upar lagi ho to screw driver ki madad se tip ke niche lage screw ko loose kare. Plier ki madad se tip ko ek chakkar ghadi ke ulte rukh ghumaye aur tip ke niche lage screw kas de. Target par 1″ ka correction dur hoga.
(c) Isi tarah goli 1″ niche lagne par tip ko ek chakkar niche karne ke liye (cloxk wise) ghadi ke sulte rukh ghumayen. Target par ek chakkar ka correction dur hoga.
9mm CM 1A Dayen bayen ki galti dur karna
(a) Carbine machine 9mm mein dayen bayen ki galti kul 4 1⁄2″ tak dur ki jati hai. Galti ko dur karne ke liye teen prakar ke scriber istemal kiye jate hai 10 thau, 20 thau, 30 thau.
(b) CM mein foresight ke madhya se 2 1⁄4″ bayen aur 24″ dayen ki galti dur ki jati hai yani kul 4 1⁄2″ tak.
(c) Bayen 3/4″,1 1⁄2″, 24″ ki galti ko dur karne ke liye kramashah 30 thow, 20 thow, 30 thow ke scriber ko istemal kiya jata hai. Isi tarah dayen ki 24″ galti dur karne ke liye 4″ ke liye Ser 10 thow 1 1⁄2” ke liye 20 thow aur 24″ ke liye 30 thow scriber
se line lagakar galti dur ki jati hai.
(d) Agar target par bayen 3/4″ goli lage to 10 thow ke scriber se bad ke bayen aur nisaan lagakar drift aur hammer ki madad se bad ko 10 thow bayen khiskayenge. Goli 1⁄2″ bayen hone par 20 thow bad ko bayen aur 24″ ka farq hone par 30 thow ke scriber se nisana lagakar bad ko bayen khiskaye. Isi tarah tamam karwai dayen ki taraf ki jaye.
(e) Goli bayen lagne par bad bayen khiskaye, dayen lagne par dayen khiskaye (Move towards error)
9mm CM 1A Zeroing Table
9mm CM 1A Zeroing aur correction ka formula
Iske sath hi 9mm CARBINE MACHINE 1A ko zero karna kya hota hai aur usko calculation karne ka tarikae se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare.