man in black t shirt holding black assault rifle

ek dam asan shabdo me jane kaise kiya jata hai 7.62 mm S.L.R. ko Zeroing

Uddesya (Aim)

7.62mm SLR ko zero karne ki sikhlai dena hai. 

7.62 mm S.L.R. ko Zeroing kaParichya (Introduction)

Upar niche, dayen bayen Elevation and Deflection ki galti ko dur karke MPI ko durust nishane ki jagah par lane ki karwai ko zeroing kahte hain. Agar rifle se kuch goliyon ka group fire kiya jaye to do cheejen jahir hoti hai. 

(a) Hathiyar ki galti

 (b) Firer ki galti

Zeroing ka uddeshya sirf hathiyar ki galti ko dur karna hai. Dekhne mein aaya hai ki bahut achha nishanebaj hai aur fire ke buniyadi usoolon ko dhyan mein rakhte hue fire karta hai. Phir bhi goliyan durust nishane par na lagkar upar niche wa dayen bayen lagti hai, iska matlab hai ki hathiyar mein kuchh galti hai. Is galti ko dur karne ke liye rifle ki sighton mein durusti karne ki jarurat hogi. Ek firer 7.62mm SLR mein ziada se ziada 30upar niche (Elevation) aur 20″ dayen bayen (Deflection) ki galti ko dur kar sakta hai.

7.62 mm S.L.R. ko Zeroing ke faide (Advantage of Zeroing)

(a) Rifle ko zero kar lene par firer ko apne hathiyar par bharosa ho jata hai.

(b) Ek goli ek dushman ka mudda hasil kiya ja sakta hai. 

(c) Salana fire mein achha natija hasil kiya ja sakta hai. 

(d) Ammunation ki bachat hoti hai.

(e) Kisi bhi prakar ki pratiyogita mein behatar natija milta hai

7.62 mm S.L.R. ko Zeroing karne ke mouke (Occasion)

(a) Jab nai rifle mili ho. 

(b) Jab rifle ki mar mein farq ya shak paida ho jaye. (When rifle fires in-accurately) 

(c) Badi marummat ke bad barrel badli hona, stocking ki badli. (After major repair) 

(d) Jab rifle ek jawan se dusre jawan ko di gayi ho. kyoki har ek jawan ki pakad shist aur trigger dabane ki karyawahi alag-alag hoti hai. (When rifle is handed/Taken over) 

(e) Salana fire karne se pahle. (Before the Annual ffire) (1) Unchai wale sthan mein jane ke bad aur utrne ke bad. (After going to and from High Altitude) 

(g) Ladai mein jane se pahle. (Before any operation) 

7.62 mm S.L.R. ko Zeroing karte waqt dhyan mein rakhne wali batein (Important Points During Zeroing)

Zeroing ke waqt kuch bato ka dhyan rakha jaye. Jaise :- 

(a) Talmail (Tuning Up) :- Rozana ke istemal ya kot mein kafi arse se rakhe rakhe mausam ke asar se rifle ka talmail bigad jata hai. Nut wa spring dhile ho jate hai, Isliye jaruri hai ki zeroing karne se pahle aromourer se rifle ka talmail thik kara liya jaye.

(b) Mausam (Wether) Zeroing kharab mausam mein na ki jaye. Isliye acchi roshni aur kam hawa wala din is kam ke liye munasib rahta hai. Tez dhoop, badal wa tez hawa wale din zeroing na kiya jaye.

(c) Range: Zeroing 25 gaz ya 100 gaz ki duri se kiya jana chahiye. 100 gaz ka fasla accha mana gaya hai. Kyoki ismein mausmi halat yani hawa aur roshni ka kafi asar shamil ho jata hai. Jisse dusre lambe wa chote ranges par Sama hawa aur roshni ka asar jyada gadbadi paida nahi karta hai.

(d) Target: Ordinance se rifle us waqt pass ki jati hai, jabki uski goliya 100′ (100 feet) ki range se 11⁄2″ X 1″ ke andar lage. Wah bhi shikange mein kaskar band range (Closed range) se fire kiya jata hai. Jahan roshni wa hawa apna prabhao na dal sake. Is baat ko madhya nazar rakhte hue, range ke anupat ke mutabik zeroing karte samay target par ek aiming mark lagaya jata hai. 

(i) 100 gaz se zeroing karte samay 4’X4′ target par 42″X3″ ka aiming mark. 

(ii) 25 gaz se 1’X1′, target par 1″X3/4″ 

Kyoki aisa target fire karne wale ko ek khas shist ki jagah darsata hai jisse uska group banne mein madad mile. Is prakar target ko grouping target ke naam se bhi pukara jata hai. Isi qism ka taret zeroing ke liye istemal karna chahiye. 

(e) Firer: Har jawan ko apni rifle khud zero karni chahiye. Kyoki prateyk jawan ki pakad nisan wa trigger dabane ki karyawahi mein kuch na kuch antar hota hai. Isliye dekha gaya hai ki ek jawan dwara zero ki gayi rifle se dusra jawan usi nisan ki jagah par shist lekar fire karta hai to goliyo ki MPI mein farq hota hai. Zeroing wahi firer kar sakta hai, jiske group ki kabliyat 16 cm. ki ho. 

(f) Rifle Zeroing karne se pahle rifle ko khusk (Dry) kar liya jaye. Rifle ki sights ko kala kar liya jaye. Firer ko sand bag rest ka sahi istemal karna chahiye. Rest ke upar kalai wa hath rakhna chahiye na ki rifle.

Zeroing ke samay rifle par beyonet nahi chadha hona chahiye. Zeroing karne se pahle do goli barrel garm karne ke liye. stop butt par fire kar lena chahiye taki rifle samanya tap (Temperature) mein aa jaye.

7.62 mm S.L.R. ka Goliya 25x aur 100x par niche upar kramashah kyo lagti hai.

THE FLIGHT PATH OF BULLET (SIGHT RANGE 200) Apne dekha ki goliya 

(a) 25x par aiming point se 1⁄4″ niche. 

(b) 100x par aiming point se 2″ upar.

(c) 200x par aiming point par lagti hai. 

(Chitra se saaf zahir hota hai ki trajectory 25* par line of sight ke niche chalti hai aur 100x par upar ho jati hai.) 

(g) Ammunition : Jo ammunition zeroing ke liye prayog kiya jaye wah ek hi year wa ek hi lot ka ho. Alag-alag lot ka elevation mein farq dalta hai. (The ammunition should be of same date and lot) 

7.62mm SLR ko zero karna

Zeroing Tool:

(i) Tool Adjusting Foresight 

(ii) Screw Driver

7.62 mm S.L.R. ko Zeroing ka Tarika

Barrel garam karne ke bad rifle par 200 gaj sight lagakar 100 gaj se 4’x4′ target par 1×1 target lagakar munasib aiming mark lagakar ek hi jagah par sist lekar panch goliyon ka group banaya jaye tatha group ko check kiya jaye. Agar MPI 100 gaj par 2″ upar banti hai to rifle thick zero hai. Isse rifle alag- alag badte rangeo par durust fire karegi. Rifle ki maar mein do prakar ki galti ho sakti hai 

Upar niche ki galti dur karna

Yadi goli nishane ki jagah se upar ya niche lag rahi hai to rifle mein elevation dena padega ya barrel niche lane ki karwai karni padegi. Yadi goliyan target par upar lag rahi hai to foresight tip ko upar shift karna padega. Agar goliyan sist ki jagah se niche lag rahi hai to foresight tip ko niche karne ki jarurat padegi. galti ki taraf doudo yani (Move Towards Error

(i) Sabse pahle tool adjusting foresight ki madad se tool ke bahari hisse (Outer Parts) ki madad se locking nut ko dhila karen. Iske liye tool ko ghadi ke ulte rukh ghumane ki jarurat padegi. 

(ii) Tool ke andruni bhag (Inner Part) ko foresight tip par fit kare aur bahari hisse (Outer Part) ko locking nut ke sath milakar rakhe. 

(iii) Agar goli sist ki jagah se 6″ upar lagi hai to tool ke bahari hisse par kabu rakhte hue andruni bhag (Inner Part) ko ek chakkar yani 360° par ghadi ke ulte rukh ghumaye jisse tip upar uthegi aur dubara sist lete samay uthi hui tip ko POA par milane se barrel niche jayegi aur upar 6″ ki galti ek chakkar ghumane se dur hogi. 

(iv) Agar goli 6sist ki jagah se niche lag rahi ho to foresight tip ko tool ke inner part ki madad se niche kare iske liye inner part ko ghadi ke sulte rukh (Clock wise) pura ek chakkar ghumaye jisse ek chakkar mein niche ki 6″ ki

(v)galti dur hogi. Galti dur karne ke bad inner part ko tip se alag kare aur outer part se locking nut ko kas den.

(vi) Is tarah se 100 par ek chakkar upar ya niche karne se 6″ ka target par farq padta hai aur SLR 1A1 mein kul 30″ tak ki galti ko dur kiya jata hai yani kul panch chakkar ghumaya ja sakta hai. 

(vii) 7.62mm SLR L1A1 ki upar niche ki galti SLR 1A1 ki tarah hi dur ki jati hai. Ismein yeh karwai keepar screw ko ghumakar ki jati hai. 

(viii) FAL Rifle mein upar niche ki galti ko dur karne ke liye ek chakkar upar ya niche ghumane se target par 51⁄2″ ka farq padta hai. Chakkar dene ka tarika 1A1 ki tarah hi hai.

7.62mm SLR 1A1, L1A1, FAL mein dahine bayen ki galti ko dur karna (Rectification of error in deflection)

Dahine bayen ki galti ko dur karne ke liye back sight par karwai ki jati hai. Iske liye “galti se dur bhago” sidhant ko apnaye (Move away from error). Jab goli bayen lag rahi ho to back sight ko dahine karen dahine lagne par back sight ko bayen khiskana chahiye (To rectify the error in deflection move the back sight on opposite direction)

Tarika :

(i) In Riflo mein kul 20″ tak ki dahine bayen ki galti dur ki ja sakti hai

(ii)100 gaj par ek chakkar dahine ya bayen correction se target par 4″ tak ka farq padta hai. Back sight par kul panch chakkar ghuma sakte hai. 

(iii) Agar goli 4” bayen lagi ho to screw driveer ki madad se back sight ke dahine screw ko ek chakkar dhila (loose) kare yani 360° ghumaye aur bayen screw ko kas de. Tar get par 4” ki bayen ki galti dur hogi. 

(iv) Agar goli target par sist ki jagah se 4″ dayen lage correction ke liye bayen screw ko ek chakkar dhila karen aur dahine screw ko kas den. Target par dahine ki 4″ ki galti dur hogi.

Zoring table

Iske sath yh blog post samapt huwa ummid hai ki post pasand aayega

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping