man shooting a shotgun

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1 Ka Parichaya, Utapatti aur Visheshtayein

7.62mm S.L.R. L1A1, 1A1 Uddesya (Aim)

7.62mm (L1A1, 1A1) SLR se parichya aur uski utpatti wa vishestaoen ke bare mein jankari dena hai. 

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1 Parichya (Introduction)

7.62mm S.L.R. L1A1, 1A1 is badte hue yug mein paidal sena ka ek bahut hi uttam aur kargar hathiyar hai. Yeh paidal sena ke jawano ko vyaktigat hathiyar ke taur par diya gaya hai. Yeh ek semi automatic aur gas se chalne wala, khud load hone wala (self loading) hathiyar hai, jisse kam samay mein ziada tadad mein fire dala ja sakta hai, yeh hawa se thanda hota hai. Iski chal aasaan hai, jise har ek jawan aasaani se samajh sakta hai. 

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1 Utpatti (Orientation)

Belgium ke D J Seive namak vyakti ne dusre visva yudh ke uprant Rest Enfield England mein ek ardh swchalit (Semi Automatic) rifle ka nirman kiya jise ABL (Arme. Belgium Legere) ya SAFN (Saive Automatic FN) rifle kaha gaya. Ise FN company ne banaya jismein pahle 7.92mm German ammunition prayog kiya gaya. Is hathiyar ke butt aur trigger aadi mein aur bhi ziada parivartan lakar ant mein iska naya model banaya jismen America ka 7.62mm (NATO) cartrige prayog kiya gaya, Is rifle ka naam (FAL) Fuzil Automatic Leger) rakha gaya. Isi hathiyar se baad mein SLR ki utpatti hue, jise Bharat mein sun 1965 mein sarvpratham banaya gaya.

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1 basic data (General Data)

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1 Visheshtayein (Characterstics)

(a) Infantary/Pairamilitry Forceses ke jawano ka vyaktigat hathiyar hai aur bahut hi kargar siddh hua hai. 

(b) Yeh halka wa chota hai aur aasani se camoflaies karke chupaya ja sakta hai. 

(c) Chote hathiyar ke hisab se iska kargar range ziada hai.

(d) Ek achha firer 1 minute mein 60 goli fire kar sakta hai.

(e) Gas se chalne aur hawa se thanda hone wala hathiyar hai.

(f) Flat Trajectory hathiyar hone ki wajah se grazing fire dala ja sakta hai. 

(g) Carrier breech block (Slide) mein sand grooves hone ki wajah se gardile ilake mein fire kar sakte hain. 

(h) Arcctic Trigger hone ki wajah se Gloves pahan kar ati sard ilake mein fire kiya ja sakta hai. 

(i) Magazine mein goliyan adhik aati hain. 

(j) Mechanism aasan hone ki wajah se firer rokon ko khud hi dur kar sakta hai. 

(k) Tube launching lagakar grenade fire kiya ja sakta hai. 

(l) Jawan isko khud zero kar sakta hai. 

(m) Bayonet chadakar CQB ki ladai mein istemal kiya ja sakta hai. 

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1Kamiyan (Limitations)

(a) Flat Trajectory hathiyar hone ki wajah se dead ground mein me chupe dushman par fire nahi kiya ja sakta. 

(b) Self loading hone ki wajah se roken pad sakti hain. 

(c) Ammunition ki bachat ke liye unche darje ki sikhlai ki awashykta hai.

7.62mm S.L.R. L1A1 1A1SLR Rifle L1A1 and 1A1 me antar

In dono rifloen mein chote-mote kai antar hai, lekin mukhyatah nimnlikhit hain :-

iske sath hi yh blog post 7.62 mm SLR LIAI 1A! ka parichay se sambandhit post samapt hui.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping