.303 Rifle Ka Parichaya

.303 rifle ka parichayA utpatti aur visheshtaye bahut hi saral shabdo me

Uddeshya (Aim):

.303″ Rifle se parichya, uski utpatti aur Cuvisheshtaye batana hai. 

.303 Rifle Ka Parichaya (Introduction):

Riffle paidal sena aur jawan ka vyktigat hathiyar hai. Hathiyaro ki sikhlai mein serve prathum isi hathiyar se parichya karaya jata hai. Aamtaur par suraksha balo (Security forces) mein nimn prakar ki rifle pryog mein layi jati hai. 

.303 Rifle Ka Parichaya aur Uttpatti (Orientation):

1880 mein British army mein alag-alag rifle system ka addhyan kiya aur ‘Lee Met Ford Rifle’ jiska disign Mark – I ki tarah tha, ko istemal ke liye apnaya. kuch samay upyog ke bad ismein parivertan kiya tatha 1902 mein Short Magzine Lee Enfield (SMLE) rifle .303″ mark-I wa mark – III ko istemal ke liye apnaya. samay-samay par ismein parivertan kiye gaye tatha enhi parivartano ke adhar par usko alag-alag number diye gaye, jaise .303″ No.1 mark-III, No. 3 mark-1, No. 4 mark-l, No. 4 mark-1 (T) aur No. 5 mark-1 (Para) iska pura naam Rifle Short Magezine Lee Enfield hai. Iska avishkar karne wale Canada ke niwasi James Paris Lee thay. Baad mein Enfield company ne parivartan karke mark lagaya tatha isi aviskar ke naam se iska naam magezine Lee Enfield Rifle .303″ No.-1 mark-III (SMLE) (Short Magezine Lee Enfield .303″ no. 1 MK III) rakha gaya. 

Rifle .303” No. 1 mark-III mein leaf back sight hai jiske upar 200 gaz se 200 gaz tak sight hota hai. Rifle .22 No.-2 mark-l (Rim Fire), mark-III ka parivaertit rup hai jo ki jawano ko shuru-shuru mein fire ki sikhlai dene ke liye pryog mein layi jati hai. Iska bore .303” se .22″ kar diya gaya hai. Rifle .303″ No. 3 mark-l double star (P14) Muskat rifllle kahalati hai. Iske upar range 200 se 1700 gaz tak hai. Rifle .303″ No. 4 mark-l tengent aur duel aparture sight ki hoti hai. Tangent sight par 200 gaz se 1600 gaz tak tatha do aur line kati hoti hai jo 1700* aur 1800* ko zahir karti hai. Duel aparture sight mein 300* aur 600X ki sight hoti hai. Iska bolt aage ki taraf khulta hai. Rifle .303″ No. 4 mark-I (T), No. 4 mark-I ki tarah hoti hai. Kewal ismein telescope lagane ke liye pad laga hota hai. Rifle .303″ No. 5 mark-l (Para) size mein chhoti aur halki hai. Yeh Paratroopers dwara prayog mein layi jati hai tatha ise jungle carbine bhi kahte hai. Rifle .22″ CZ Breno Chekoslovakiya dwara banai gayi hai. Iska bore .22″ hai. Iske upar range 25 se 200 yard tak hoti hai.

.303 Rifle Ka Parichaya aur Visheshtayein (Characterstics)

(a) Iske jariye small arms ke dusre hathiyar sikhne mein asani hoti hai, isliye isko basic hathiyar kahte hai. 

(b) Yeh ek mazboot hathiyar hai. 

(c) Ismein kul 130 purje hote hai jo ki acche qism ke hai, is karan tut-fut bahut kam hoti hai. 

(d) Ek rifle ke purje dusri rifle mein badli kiye ja sakte hai.

(e) Rifle single shot fire karti hai, Iski magezine mein 10 goli ati hai, ek accha firer ek minute mein 15 se 20 goli fire kar sakta hai. 

(f) Yeh halka hathiyar hai, atah: asani se laya/lay jaya ja sakta hai tatha chhoti aad ke piche se fire kiya ja sakta hai.

(g) Ismein rokein bahut kam padti hai, rok padne par jawan asani se rok ko dur kar sakte hai. 

(h) Iska karger range 300* hai. 

(i) Iska istemal santry duty, jungle aur gaon ki talashi ke liye asani se kiya ja sakta hai. 

(1) Sangin lagakar assault wa guthumgutha ki ladai (CQB) mein kaam mein laya jata hai. 

(k) Yeh flat trajectory hathiiyar hai.

.303 Rifle Ka Kamiya (Limitation)

(a) Firer ko bar-bar hath ki madad se load, re-load karna padta hai, jisse iska rate of fire kafi kam hai. 

(b) Uchi aad ke picche ya dead ground mein chhupe hue dushman par fire nahi kiya ja sakta hai. 

Iske sathi .303 rifle ke parichay se sambandhit blog post samapt hui ummid hai ki yah post aapko pasand aayegi.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping