9MM MACHINE CARBINE 1A

9mm Machine Carbine 1A Parichya, Utpatti aur Vishestayein aise samjhe saral shabdo me

Pichhle blog post me hmne roman language me 7.62mm LMG ka Zeroing karne ka tarika aur fayde ke  bare me jankari prapt ki aur   ab is blog post me hm roman language me9mm Machine Carbine 1A ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein aise samjhe saral shabdo me. yh post constable aur new agniveer(Agni Veer) recruits ke lie kafi sahayak hoga aisa mera ummid hai. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak

Uddesya (Aim)

Sten/Machine Carbine 1A ka parichya, utpatti aur vishestaen batana hai.

9mm Machine Carbine 1A Parichya (Introduction)

9mm Machine Carbine 1A Armed police wa anya suraksha balon ke SOS aur UOS ka vyaktigat hathiyar hai. Yeh blow back ke sidhant par kaam karta hai. Yeh hawa se thanda hone wala hathiyar hai. Halka aur chota hone ke karan gutham-gutha ki ladai ke liye upyogi hai. Iska kargar range CQB mein 30x aur aimed fire mein 100× hai. Ismein 9mm ammunition fire kiya jata hai. Carbine ke butt ko fold kar chota aakar banaya ja sakta hai, tatha bannet no. 5 lagaya jata hai.

9mm Machine Carbine 1A ka Utpatti (Orientation)

Sten wa Carbine mote taur par sub machinegun shredi mein aati hai. LMG shredi mein we hathiyar shamil kiye jate hain jinmein swachalit pistol (Automatic Pistol) ki vishestaen hain. Lekin vikas karte samay range aur fire power bada di jati hai. Sabse pahle is kism ka hathiyar sun 1915 mein Italy mein banaya gay. 1941 mein Enfield company ne LMG ka ek naya model taiyar karne wale H J Turnip thay aur pariyojna (Project) adhikari mejor R V Shepherd thay. Isliye iska naam Sten rakha gaya. (S-Shepherd), (T-Ternip), (En-Enfield). Bharat mein prayog mein layi jane wali sten Mark-II (MK-II), Mark-III (MK-III) aur Mark-V (MK-V) hai.

9mm Machine Carbine 1A ka Basic Data of 9mm Carbine Machine(General Data)

9mm Machine Carbine 1A shabd kaise bana iske bare mein alag-alag vichar hai. Lekin sabse pahle vishv (sanghiy) lekha gayej memory ke anusar Spain ki ghudsawar sena mein choti barrel wa halke wazan ka rifle numa hathiyar hota tha, jisko ghode ki kathi mein aasani se chupaya ja sakta tha. Is ghudsawar sena ke chote daston ko carbino kahte they. Yehi karan hai ki baad mein sudhre hue roop ko carbine ke naam se jana jane laga. Machine Carbine 9mm SAF 1A ke taiyar hue model Sterling MK-IV ya L2A2 SMG ka hi roop hai. Machine Carbine 9mm SAF 1A Bharat dwara small arms factory Kanpur mein banaya jata hai.

9mm Machine Carbine 1A ka Vishestaen (Characterstics)

(a) Halka aur chota hathiyar hone ki wajah se le jane mein aasan hai. 

(b) Aakar mein choti hone ki wajah se chupana aasan hai. 

(c) Sikhna wa prayog karna saral hai. 

(d) Isse single shot aur automatic dono hi prakar ka fire kiya jata hai. 

(e) Kam duri par automatic fire karke LMG ke fire ka prabhav dala ja sakta hai. 

(f) Gali, kunche, tang raste, morche aur makan aadi ki talashi oot novialene mein labhdayak hai. 

(g) Nazdiki (CQB) ki ladai ka khas hathiyar hai. Ismein baynet lagakar bhi kaam liya ja sakta hai.

9mm Machine Carbine 1A ka Kamiyan (Limitation)

(a) 9mm Machine Carbine 1A ka Muzzle Velocity kam hai.

(b) 9mm Machine Carbine 1A ka Kargar range bahut kam hai. 

(c) Iske andar roken ziada padti hai. 

(d) Keval nazdiki ladai (CQB) mein hi prayog mein laya jata hai. 

Iske sath hi9mm Machine Carbine 1A ka Parichya, Utpatti aur Vishestayein aise samjhe saral shabdo me se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping