Pichhle blog post me hmne roman language me 7.62 mm LMG ka parichay ttha vishshetaye kya hai uske bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hm roman language me Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zero kaise kiya jata hai use ek dam asan shabdo me jane. Armed force ke naye recruit ke sath hi sath ye Agniveer ke training me hel karegi yh jankari o chahe Agniveer Army win , Airforce wing ho ya agniveer navy wing ho sab ke lie sayahak
Uddesya (Aim)
Gun Machine 7.62mm 1B ko zero karne ki sikhlai dena hai.
Parichya (Introduction)
Kisi bhi hathiyar se durust natija hasil karne ke liye ise zero kara jaruri hai, taaki is baat ka yakin ho jaye ki upar niche dahine bayen (Elevation and Deflection) ki maar hathiyar ki sight ke anusar durust hai. Rifle aur LMG ki zeroing mein khas antar nahin hai, sivay ki rifle jawano ka jaati hathiyar (Personal Weapon) hai aur wah swayam fire karke zero karta hain, jabki LMG section ka hathiyar hai, isliye sabhi jawano ko unki marji ke mutabik zero karna mumkin nahin hai. Jahan tak sambhav ho LMG No. 1 se hi zero karwai jaye ya achhe firer uatad se zero karana chahiye. Baki sabhi check group fire karke aanpe group ki MPI malum kar sakte hai.
Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zeroing ka matlab (Zeroing)
Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zero LMG mein upar niche, dahine bayen (Elevation and Deflection) ki galtion ko dur karne ke liye sighton ke sath jo karwai ki jati hai, use zeroing kahte hain.
Zeroing ke fiade (Advantage of Zeroing)
LMG ko zero karke hi fire karna chahiye, iske nimn fiade hain
(a) firer ko apne hathiyar par bharosa ho jata hai. (confidence over the weapon).
(b) Ek goli ek dushman ka mudda hasil hota hai. (Aim of one round one man is achieved).
(c) Ammunition ki bachat hoti hai. (Ammunition is saved)
(d) Classification fire ka achha natija milta hai. (Better results of classification fire)
(e) kisi bhi prakar ki pratiyogita mein behatar natija milta hai. (Better result in competition)
Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zeroing ke mouke (Occasions)
Jab kabhi bhi LMG ki durusti par shak (Doubt on accuracy) ho jaye to use zero kar lena chahiye. Iske alawa kuch mouke aise hote hain jab LMG ko zero karke hi prayog mein lana chahiye.
(a) Jab LMG ordinance se nai aai ho. (When issued from ordinance)
(b) Ek jawan se dusre jawan ko di gai ho. (Handling / tacking over)
(c) Salana firing se pahle. (Before annual firing)
(d) LAdai mein jane se pahle. (Before any operation)
(e) Kisi bhi prakar ki marammat ke baad. (After any repair)
(f) Haigh altitude mein jane ke baad aur aane ke baad. (After going to any coming from high altitude)
Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zero se pahle dhyan mein rakhne wali baten (Point to be remembered before zeroing)
LMG ko zeroing karne se pahle kuch baton ko dhyan mein rakhna chahiye jo is prakar hai :
(a) Talmel (tuning-up): kot mein kafi der rakhne ke karan wa roj ke prayog se LMG ka talmel bigad jata hai atah zeroing se pahle Armourer se talmel thick kara liya jaye.
(b) Mousam (Weather): Kharab mousam ka zeroing par bahut asar padta hai jaise – tej doop, versha, kam roshni aadi. Atah zeroing ke samay mousam saaf wa roshni thick ho. (The weather should be clear and light should be sufficient)
(c) Ammunition: Ammunition ek hi lot ka prayog mein laya jaye tatha fire karne se pahle use saaf kar lena chahiye. (Ammunition should be of same lot and cleaned before firing)
(d) Target: 25x se zeroing ke liye 1′ X 1′ target aiming mark ke sath wa 100X se zeroing ke liye 4′ X 4′ target mein 4′ X 3′ ka varg aiming mark ke sath khincha hua ho.
Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zeroing karte waqt dhyan mein rakhne wali baten:
(a) Dono barrelo ko zero kiya jaye tatha dono ka result ek jaisa ho.
(b) LMG zero karne ke baad section ke sabhi jawano se grouping fire karvakar master group ke sath check kar lena chahiye.
(c) LMG zero kar lene ke baad iska record company mein rakhna chahiye.
(d) LMG ki line of sight 1″ bayen hai atah iski MPI 1″ dahine banti hai. Iski MPI ko kabhi bhi centre mein lane ki koshis nahin ki jaye.
(e) Firing se pahle uski dono barralon ko khushk kar liya jaye (Barrel should be dried) aur breech block wa piston ki nichli satah par halka tail (slight oiling) laga diya jaye.
(f) Jahan tak sambhav ho 100X se hi zero kiya jaye.
(g) Zeroing karne se pahle dono barrelon se 10-10 automatic fire karke barrel garam (Warm the Barrel) kar liya jaye
Zeroing ke baad ki karwai (Action after zeroing)
(a) Zeroing ke baad ek check group fire kiya jaye. (Check group should be fired)
(b) Zeroing ke baad foresight ko punch kar diya jaye. (Fore sight should be punched)
7.62mm Light Machine Gun 1B ko zero karna( Zeroing Tool ) :
(a) Screw Driver
(b) Drift
(c) scriber
(d) Hammer
(e) Blade foresight (BFS)
Zeroing ka tarika
Upar niche ki galti ko dur karna : fire se pahle barrel ko garam karne ke liye 10 round bharkar brust fire kiya jaye. Regulator ko 3 par set rakhe. Baad mein 5 golian fire kare agar group ki MPI sahi jagah par hai to LMG zero hai. Agar nahi hai to sabse pahle upar niche ki galti ko dur kare.
(a) LMG mein upar niche ki kul galti 28″ tak dur ki jati. Ek LMG ke sath kul 8 foresight blade aate hain. 7 reserve aur 1 LMG par chada hua rahta hai. Blade nimn number ke hote hain
(b) LMG mein ek blade foresight badli karne par 4″ ka target par upar/niche ka farq padega.
(c) Ek blade se dusre blade ke bich ka antar dahine/bayen .03″ hota hai.
Agar goli 4″ upar lagti hai to screw driver ki madad se protector ko khole. Blade ke number ko check karen agar blade .25″ ka laga ho to blade ko Drift aur hammer ki madad se bahar nikalo. Ek bade number ki blade ko lagaye. Agar blade .37″ lagi hai to .40″ lagaye target par kul 4″ upar ki galti dur hogi
Isi prakar se niche 4″ goli lagne par down no. ki blade lagaye yani .31″ blade lagi ho to .28″ blade ko lagaye. Niche ki 4″ ki galti dur hogi.
Is tarah se hum 7 blade badli karte hain to per blade 4″ ka correction yani kul 7″X4″ = 28″ tak ka correction lay sakte hain. Dahine bayen ki galti sudharne ka tarika :
(a) LMG mein dayen bayen ki galti 16″ tak dur kar sakte hain enom yani bad ko hum .040″ dayen aur .40″ tak bayen kiska sakte hain. Isse ziada hum bad ko nahin khiska sakte. Iska matlab madhya se 8″ dayen aur 8″ bayen ka target par or correction de sakte hain
(b) Agar goli sist ki jagah se 4″ dayen lage to bad ko dayen khiskana padega “galti ki taraf bhago”. correction ke liye 20 sack Thow Scriber se bad ke dayen nisana lagayen aur bad ko 20 Thow ke nisane par milne tak khiskayen. Target par 4″ ka correction hoga. Agar 8″ dayen lagi ho to 20 Thow ke Scriber se do nisan bad ke dayen lagaye aur bad ko dayen khiskayen. Target par 8″ ka correction milega
(c) Yahi karwai goli bayen lagne par bayen aur ki jaye.
Iske sath hi Light Machine Gun 7.62mm 1B ko Zero kaise kiya jata hai use ek dam asan shabdo me jane se sambandhit roman blog post samapt huwa. ummid hai ki yh post aap ko pasand aayega . is blog ko subscribe kare ttha hamare facebook page ko like kare.